Ek samandar h mere andar ,
Ek toofaan rehta hai aas pass ,
Toofan samandar ko ,
Jhanjhod kar rakhta hai ,
Bhawandar ko mere ,
Andar Sikod ke rakhta hai ,
Toofan hasta hai un nadion par,
Jo mujhse aakar milti hai,
Ye nadiyan sochti hai,
Mujhse milkar , toofan ko tham legi ,
Toofan ko uski auqaat dikha ,
Samandar se milkar ,
Apni pehchaan degi ,
,
Toofan to aakhir toofan hai,
Wo hasta raha un nadion par,
Jo mujhse aakar milti hai,
Nadion ka kar ghamand choor ,
Jo ab bebus phirti milti hai,
,
Phir ek nadi aakar milti hai mujhse ,
Jisne apni saadgi se ,
Sundar , chanchal ehsaas se ,
Takkar li us toofan se ,
,
Ab, Jab jab wo nadi mujhse milti hai ,
Toofan ki sharm se aankhe jhukti hai,
Us waqt toofan thama sa rehta hai,
Waqt bus humara , humara hi rehta hai,
,
Mujhe is waqt ki talash thi ,
Jo is nadi ne mujhe diya hai
Aakash panchal